Tuesday, May 26, 2009

jorr

jorr jo parai hen un ko suljhana chahoon
ulajh gayi hai nazar
faqt apni shanakht k firaaq mai
khud ko he na lay sakoon sath apnai
tou phir kaise thaamoon tera hath
shaayad ye ik gumaan hai
shaayad us tufaan key pukaar
ya shaayad mai haq per hoon or too anjaan
lab seeyai rakhain gay kab talaq
uqaab si rakhni hai uraan
ik alam ka sawal hai saara
ye alam jo sehar k sath lehrai ga?
ye alam zameen bos ho jae ga?
ye alam hum donon lehrayen gay?
ye alam tareekion mai kho jae ga?

No comments:

Post a Comment